YAAD Jinki Yaad mein hum deewane ho gaye, Wo hum hi se begaane ho gaye. Shayad unhe talash hai ab naye pyaar ki, Kyunki unki nazar mein hum purane ho gaye. Baaki kuch na raha zamaane mein, Jawani guzar rahi mehkhaane mein. Ab to karle mere pyaar pe yakeen, Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein. Tumhari har adaa ka kya jawab doon, Apne pyaar ko kya upahaar doon. Koi acha sa phool hota to maali se mangwata, Jo khud gulaab hai usko kya gulaab doon.
Aye jindgi u mujhse daga na kar. Main unse door rahun ye dua na kar. Koi dekhta hai unko to hoti hai jalan. Aye hawa tu bhi unhein chhua na kar.
Waade par hamare to aitbaar nahi karte ..
Hum Zikr-E-Mohabbat sare bazaar nahi karte.........
Hum to darte hain unki ruswai se..
Aur woh sochte hain ki hum unse pyaar nahi karte...................
Sirf isharon se hoti mohabbat agar, to in lafzon ko khubsurti kaun deta, bas patthar ki murat bankar rah jata TAJMAHAL, use ishq ki nishani kaun kehta...