BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.
Khushiyo ka khazana hota tha.Chahat chand ko pane ki,dil titli ka diwana hota tha,
Khabar na thi kuch subah ki, na shaamo ka thikana hota tha.
Thak-haar k aana school se, par khelne bhi jana hota tha,
Dadi ki kahani hoti thi, pariyo ka fasana hota tha,
Barish me kagaz ki kashti thi, Har mausam suhana hota tha,
Har khel me sathi hote the, Har rishta nibhana hota tha,
Papa ki wo daate galti par Mummy ka manana hota tha,
Gam ki juban na hoti thi, na jakhmo ka paimana hota tha,
Rone ki wajah na hoti thi,na hasne ka bahana hota tha,
Ab nhi rhi wo zindgi jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.
From my Mann